Re: Poet of the Month - Mirza Ghalib
Nukta cheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane
maiN bulaata to hooN usko magar 'ei jazba-e-dil
uspe ban jaaye kuchch 'eisee k bin aaye na bane
khel samjha hai kaheeN choR na de, bhool na jaay
kaash ! yooN bhee ho k bin mere sataaye na bane
GHair phirta hai liye yooN tere KHat ko k agar
koee pooche k yeh kya hai ? to chipaaye na bane
is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya
haath aaye to unhaiN haath lagaaye na bane
keh sake kaun k yeh jalwaa_garee kiskee hai
parda choRa hai woh usne k uTHaaye na bane
maut kee raah na dekhooN k bin aaye na rahe
tumko chaahooN k na aao, to bulaaye na bane
bojh woh sar pe gira hai k uTHaaye na uTHe
kaam woh aan paRa hai, k banaaye na bane
ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish ‘GHalib’
k lagaaye na lage aur bujhaaye na bane