Poet Of The Month -July 07- Abdul Hameed Adam

Re: Poet Of The Month -July 07- Abdul Hameed Adam

Asalam U Alaikum !

Apnii Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do
Shehar-e-Gul Baadaa Gusaaron Ke Havaale Kar Do

Talkhi-e-Hosh Ho Ya Masti-e-Idraak-e-Junuun
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do

Mujh Ko Yaaro Na Karo Rahnumaaon Ke Supurd
Mujh Ko Tum Rahguzaaron Ke Havaale Kar Do

Jaagne Waalon Ka Tuufaan Se Kar Do Rishta
Sonay Waalon Ko Kinaaron Ke Havaale Kar Do

Merii Taubaa Ka Bajaa Hai Yahii Ejaaz "Adam"
Meraa Saagar Mere Yaaron Ke Havaale Kar Do

"Adam"