Poet of the Month for Allama Iqbal Day

Re: Allama Iqbal

-- Insaan --

***Qudrat ka ajeeb yeh sitam hai

*Insaan ko raaz ju banaayaa!
Raaz uss kee nigah say chupaaya

Baytaab hay zoq Aagahi kaa
Khulta nahiN bhaid zindagi kaa

Hairat-e-Aaghaaz-O-Intehaa hai
Aainay kay ghar maiN aur kiyaa hai?

Hai garam khuraaam Mauj-e-dariyaa
Dariyaa soo'ey Beh'r Jadah-e-paimaa

Badal ko hawaa uRRaa rahi hai
ShaanouN pay uTThaaey laa rahi hai

Taaray mast-e-sharaab-e-taqdeer
Zindaan-e-Falak maiN paa ba zanjeer

Khursheed, woh Abid-e-Seh'r Khaiz
Laanay waalaa piyaam-e-"bar khaiz"

Maghrib kee pahaaRiyouN maiN chup kar
Peetaa hay ma'y shafaq kaa saagar

Lazzat Geer-e-Wajood har shay
Sar Mast-e-Ma'y Namood har shay

Koie nahiN Ghumgusaar-e-InsaaN!
Kiyaa talkh hai Rozgaar-e-InsaaN!
**

Re: Allama Iqbal

-- Ik Shaam --

  • Khaamosh hai Chaandni Qamar kee ShaakhaiN haiN kha'mosh hur shajar kee

Waadi kay niwaa farosh khaamosh
Kohsaar kay subbz posh khaamosh

Fitrat Bay Hosh ho gaie hai
Aaghosh maiN shub kay so gaie hai

Kuch aisaa sukoot kaa fusooN hai
Neegar ***** kaa Khuraaam bhee sukooN hai

TaarouN kaa kha'mosh kaarwaaN hai
Yeh Qaafla bay daraa rawaaN hai

Khaamosh haiN kho-O-dusht-O-dariyaa
Qudrat hai Muraaqbay maiN goyaa

Aye dil! tu bhee kha'mosh ho jaa
Aghosh maiN ghum ko lay kay so jaa
:)
--- (daryaa-e-Neegar **** (Hydel Burg) kay kinaaray par) *

Re: Allama Iqbal

anything by Iqbal about Rooh?

Re: Allama Iqbal

^
I have read but I will have to find out… anyone else knows, please do share…

-------------------

(from my journal):

Har kujaa beeni Jaahaan-e-Rung-O-boo

AankaY az khaakash barveed-e-aarzoo

yaaz Noor-e-Mustafa:saw2:, ooraa bahaast

Yaa hanooz under Talaash-e-Mustafa:saw2: ast

Mafhoom:

In this world of color and joy whatever good you see anywhere is from the light of guidance from the Prophet of ALLAH Hadhrat Muhammad Ibn-e-Abdullah Al Mustafa :saw: or if you see people seeking any betterment, they are really still seeking Mustafa Al Mujtaba:saw2:

Re: Allama Iqbal


jinheiN maiN DhuuNDh'taa thaa aasmaanoN meiN zamino'N meiN
vo nikale mere zulmat-e-Khaanaa-e-dil ke makeeno'N meiN

mahiine vasl ke ghaRiyooN ki suurat uRate jaate haiN
magar ghaRi'yaaN juda'ee ki guzartii hai mahinooN meiN

mujhe rokegaa tuu ai naaKhudaa kyaa garq hone se
ki jin ko Duub'naa hai Duub jaate haiN safiinooN meiN

jalaa sakatii hai sham-e-kushtaa ko mauj-e-nafas un kii
ilaahii kyaa chhupaa hotaa hai ahal-e-dil ke seeno'N meiN

tamannaa dard-e-dil ki ho to kar Khidamat faqiirooN kii
nahiN miltaa ye gauhar baadashaahooN ke KhaziinooN meiN

muhabbat ke liye dil DhuuNDh ko_ii TuuTane vaalaa
ye vo mai hai jise rakhate haiN naazuk aab_giinooN meiN

buraa samajhuuN unheiN mujh se to aisaa ho nahiN saktaa
ki maiN Khud bhii to huuN "Iqbal" apane nuktaachii'nooN meiN

Re: Allama Iqbal

(from my journal):

Andaaz-e-bayaaN garchaY bahut shoukh naheeN hai!
shayad kay uter jaaey teray dil maiN meri baat!

yaa wusa’t-e-aflaak maiN takbeer-e-musalsal!
yaa khaak kay aaghosh maiN tasbeeh-O-munajaat!

woh mazhab-e-mardaan-e-khud aagah-O-khuda mast!
yeh mazhab-e-mulla-O-jamadaat-O-nabataat!

I always wonder how beautifully Iqbal:rehm: has said all that.

Andaaz-e-BayaaN garchaY bahut shoukh naheeN hai

The way I speak is even though not very appealing

shayad kay uter jaaey teray dil maiN meri baat!

but perhaps, what I am saying will touch your heart

yaa wusa’t-e-aflaak maiN takbeer-e-musalsal!

Either a continuous call towards ALLAH:swt: and the call echoes even to the skies

yaa khaak kay aaghosh maiNn tasbeeh-O-munajaat!

Or doing a sajdaa infront of ALLAH:swt: and praying to Him and glorifying him

woh mazhab-e-mardaan-e-khud aagah-O-khuda mast!

those who call towards ALLAH:swt: follow the aspect of religion of Mujahideen who are in love with Allah’s Religion and who are striving to bring ALLAH’s name supreme

yeh mazhab-e-mulla-O-jamadaat-O-nabataat!
while those who are just praying to ALLAH:swt: alone and not even calling people towards what is right are following as if they are Mullah and like rocks and plants glorify ALLAH:swt: .. then, what’s the difference between any other creature of ALLAH:swt: and us humans. If we were anything but humans, we would have been glorifying him anyway. What’s so special glorifying Him and not calling people towards Islam??

Re: Allama Iqbal

Sheikh Saahib bhee tau pardaY kay koi haami naheeN
Muft maiN college kay laRkaY unn saY bud zunn ho gaYe

Wa'az maiN farmaa diyaa kal aap naY yeh saaf saaf
"Pardah aakhir kiss saY ho jub mard hee Zunn ho gaYe":D
<!-- / message -->

Re: Allama Iqbal

thanks.
well said. beautiful subject of the lines, yet
where is Rooh in it solely for the understanding of the farsi?
Dushwari

Re: Allama Iqbal

^ I said I did read about Rooh in Iqbal's poetry several times but currently I do not have any with me... will have to find out :) I do not have my books with me as of now... I am posting all this from my OLD threads...


kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar aa libaas-e-majaaz me
keh hazaaron sajde tarrap rahay hain meri jabeen-e-neyaaz me

tarab aashanaa-e-Kharosh ho, tu navaa hai mahram-e-gosh ho
woh suroor kya keh chhupa huwa ho sukoot-e-pardaa-e-saaz me

tu bachaa bachaa ke na rakh issay, tera aaina hai vo aaina
keh shikasta ho to aziz-tar hai nigaah-e-aaina-saaz me

dam-e-tauf karmak-e-shamaa nay yeh kaha keh woh asr-e-kohan
na teri hikaayat-e-soz me na meri hadees-e-gudaaz me

na kahin jahaam me amaan mili, jo aman mili to kahaan mili
meray jurm-e-Khaanaa-Kharaab ko teray afw-e-banda-nawaz me

na woh ishq me rahin garmiyaan, na woh husn me rahin shokhiyaan
na woh ghazanavi me tarrap rahi, na woh kham hai zulf-e-ayaaz me

jo main sar-ba-sajdaa huwa kabhi to zameen se aanay lagi sadaa
tera dil to hai sanam-aashnaa tujhay kya milay ga namaaz me

Re: Allama Iqbal

ham mashriq ke musalamaanoon kaa dil maGrib meiN jaa aTakaa hai
wahaN kuntar sab billorii hai, yahaaN ek puraanaa maTakaa hai

[kuntar=glass; billori=crystal]

is daur meiN sab miT jaaye.nge, haaN baaqii wo rah jaayegaa
jo qaayam apanii raah pe hai, aur pakkaa apanii haT kaa hai

[haT=maqsad]

ae shaiKh-o-brahman sunate ho kyaa ahl-e-baseerat kahate haiN
gardooN ne kitni bulandii se un qaumooN ko de paTakaa hai

Re: Allama Iqbal

I have Iqbal's Shikwah and Jawaab-e-Shikwah completely read by myself but it is in Real Audio format and I will have to convert it into MP3 before it could be loaded to imeem.com .. In the mean time, if someone has the text, please, do share...

Re: Allama Iqbal

lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii zindagii shammaa kii surat ho Khudaayaa merii duur duniyaa kaa mere dam a.Ndheraa no jaaye har jagah mere chamakane se ujaalaa ho jaaye ho mere dam se yuu.N hii mere watan kii ziinat jis tarah phuul se hotii hai chaman kii ziinat zindagii ho merii parawaane kii surat yaa rab ilm kii shammaa se ho mujhako mohabbat yaa rab ho meraa kaam Gariibo.n kii himaayat karanaa dard-ma.ndo.n se zaiifo.n se mohabbat karanaa mere **Allaah** buraaii se bachaanaa mujhako nek jo raah ho us raah pe chalaanaa mujhako

Re: Allama Iqbal

^ a favourite. thanks NJ, for posting.
best,
Dushwari

Re: Allama Iqbal

saKhtiyaaN karataa huuN dil par Gair se Gaafil huuN maiN
haay kyaa achchii kahi zaalim huuN main jaahil huuN maiN :bummer:

[Gaafil=unaware/inattentive; zaalim=tyrant; jaahil=illiterate]
** Gaafil also means negligent/careless as used in the next sher**

hai merii zillat hii kuchh merii sharaafat kii daliil
jis kii Gafalat ko malak rote haiN vo Gaafil huuN maiN

[zillat=insult; Gafalat=carelessness/negligence]
[malak=angel; Gaafil=one who is negligent]

bazm-e-hastii apanii aaraa_ish pe tuu naazaaN na ho
tuu to ik tasviir hai mahafil kii aur mahafil huuN maiN

[aaraa_ish=decoration; naazaa.N=proud/arrogant]

DhuuNDh’taa phirataa huuN ai “Iqbal” apane aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii manzil huuN maiN
[goyaa=as if]

Re: Allama Iqbal

ur welcome any time :)

Re: Poet of the Month… Allama Iqbal

From Baang-e-Dara:

http://www.paklinks.com/gsmedia/files/14734/himala1.jpg

http://www.paklinks.com/gsmedia/files/14734/himala2.jpg

http://www.paklinks.com/gsmedia/files/14734/himala3.jpg

Re: Poet of the Month… Allama Iqbal

http://www.paklinks.com/gsmedia/files/14734/gul_e_rangeen1.jpg

http://www.paklinks.com/gsmedia/files/14734/gul_e_rangeen2.jpg

Re: Allama Iqbal

I am waiting for Shikwa Jawab-e-shikwa please hurry up:chai:

Re: Poet of the Month… Allama Iqbal

WOW :chai:

Re: Poet of the Month… Allama Iqbal

Beautiful Collection :bb: