Poet of the Month for Allama Iqbal Day

Re: Allama Iqbal

**Chaand** by ALLAMA IQBAL from **Baang-e-Dara**:

meray weeraanay say kossoon dooo hay tera watan
Hay magar darya-e-dil teri kashish say Moujzan

Qasad kiss mehfil ka hay? Aata hay kiss mehfil say tu?
zard ro shaayad huvaa ranj-e-rah-e-manzil say tu?

Aafreenush main saraapaa noor tu, zulmat hoon main
Iss seeh rozi pay laikin tera humm qismat hoon main

Aah! main jaltaa hoon soz-e-Ishtiaaq-e-deed say
Tu saraapaa soz-e-daagh minnat-e-khursheed say

Aik halqay par agar qaaim teri raftaar hay
Meri gardish bhii misaal-e-gardish-e-parkaar hay

Zindagi kee tah main sargirdaan hay tu, Hairaan hoon main
Tu farozaan mehfil-e-hasti main hay, sozaan hoon main

Main rah-e-manzil main hoon, tu bhii rah-e-manzil main hay
Teri mehfil main jo khamoshi hay, meray dil main hay

Tu talab khu hay tau mera bhii yehi dastoor hay
Chaandni hay noor tera, Ishq mera noor hay

Anjuman hay ik meri bhii jahaan rehtaa hoon main
Baz'm main apni agar yaktaa hay tu, tanhaa hoon main

Mehr ka partau teray haq main hay peghaam-e-ajal
Mehv kar deta hay mujh ko Jalwah-e-Husn-e-azal

phir bhii aey Maah-e-Mubeen! Main aur hoon tu aur hay
Dard jiss pehloo say Utthta ho woh pehloo aur hay

Garchay main zulmat saraapaa hoon, saraapaa noor tu
**Senkrroon manzil hay zoq-e-aagahi say dooor tu

Jo meri hasti ka maqsad hay mujhay maaloom hay
Yeh chamak woh hay, Jabeen jiss say teri mehroom hay**