Poet of the Month for Allama Iqbal Day

Re: Allama Iqbal

^
as long as it is by Allama Iqbal:rahm:


Ehd-e-Tifli (Era of Infancy)

Thay diyaar-e-Nau, Zameen-O-AasmaaN mairay liye
Wus’at-e-aaghosh-e-maadar ik jahaaN mairay liye

Thee har ik juNmbish nishaan-e-lutf-e-jaaN mairay liye
hurf-e-bay matlab thee khud meri zubaaN mairay liye

Dard-e-Tifli maiN agar koie rulataa thaa mujhay
Shoorish-e-zanjeer-e-dar maiN lutf aataa thaa mujhay

Taktay rehnaa haye! woh pehrouN talak suu-e-Qamar
Woh phaTTay baadal maiN, bay aawaaz-e-paa uss kaa safar

poochna reh reh kay uss kay koh-e-sehraa kee khabar
Aur woh hairat darogh-e-maslihat aamaiz par

Aankh waqf-e-deed thee, Lub maail-e-guftaar thaa
Dil naa thaa meraa, saraapaa zoq-e-istafsaar thaa!