Re: Allama Iqbal
Dau SitaaraY
**AAye jo QiraaN maiN dau sitaaray
Kehnay lagaa aik doosray say
Yeh wis'l m'daam ho tau kiyaa khoob
Anjaam-e-kharaam ho tau kiyaa khoob
ThoRa saa jo Meh'rbaaN Falak ho
Humm dono kii aik hee chamak ho
Lekin yeh wisaal kii tamanna!
Peghaam-e-Firaaq thee saraapaa
Gardish TaaroN ka hai Muqqaddar
Har aik kii Raah hai Muqqarrar
Hai Khuaab Sabaat-e-A'ashnaaii
AaeeN jahaaN kaa hai Judaaii**