Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz

Meri most fav nazm..

Mera Dard Naghma-e-Bay-Sada
Meri Zaat Zarra-e-Bay-Nishaan

Meray Dard Ko Jo Zubaan Milay
Mujhay Apna Naam-o-Nishan Milay

Meri Zaat Ka Jo Nishaan Milay
Mujhay Raaz-e-Nazm-e-Jahan Milay

Jo Mujhay Ye Raaz-e-Nihaan Milay
Meri Khaam'shi Ko Bayaan Milay

Mujhay Kainaat Ki Sarvari
Mujhay Daulat-e-Do'Jahaan Milay

:)