Re: Poet of the Month Faiz Ahmed Faiz
^ kaash sound system hota tu sun laiety :(
s**abhi kuch hai teRaa diyaa huaa sabhi raahateiN sabhi kalfateiN
kabhi sohabateiN kabhi furqateiN kabhi duuriyaa'N kabhi qurbateiN **
**ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye haiN sab varaq teri yaad ke
ko_ii lamhaa subah-e-visaal kaa, ka_ii shaam-e-hijR ki qurbateiN **
**jo tumhaarii maan leiN naasihaa to rahegaa daaman-e-dil meiN kyaa
na kisii uduu kii adaavateiN na kisi sanam kii muravvateiN **
**chalo aao tum ko dikhaaye.N ham jo bachaa hai maqtal -e-shahar meiN
ye mazaar ahal-e-safaa ke haiN ye haiN ahal-e-sidq kii turbateiN **
**merii jaan aaj kaa Gam na kaR ke naa jaane kaatib-e-vaqt ne
kisi apne kal meiN bhi bhuul kaR kahiN likh rakhii ho masarrateiN **