Poet of Month " Nasir Kazmi "

Re: Poet of Month " Nasir Kazmi "

gaey dinon ka suraagh lay kar kidher sey aya kidher geya wuh
ajeeb manoos ajnabi tha mujhay tou haeran kar geya wuh

bas aik motii si chahb dikha kar bas aik meethi si dhuhn suna kar
sitara-e-shaam ban kay ayaa ba-rang-e- khawab-e-sehar geya wuh

khushi ki rut ho keh ghum ka mosam nazar ussey dhuhndati hay har dam
wuh boo-e- gul tha keh naghma-e-jaan merey tou dil mein utar geya wuh

na ab wuh yadon ka chahrhta dariya na fursaton ki udas barkha
yoonhi zara si kasak hay dil meinwuh zakhm gehra tha bhar geya wuh

kuch ab sanbhalnay lagi hay jaaN bhii badal chala daur-e-aasman bhi
jo raat bhari thi tal gai hay jo din kara tha guzar geyaa wuh