Re: Poet of Month " Nasir Kazmi "
Safar manzil shab yaad nahi
loog rukhsat hoye kub yaad nahii
awalein kurb ki sarsharii mein
kitney armaan thay juaab yaad nahii
dil mein har waqt chhuban rehti thi
thi mujhe kis ki talb yaad nahii
woh sitara thi ke shabnam thi ke phool
aake soorat thi ajab yaad nahii
kaisi weeran hai guzar gaa khayaal
jub se woh aaraz o lub yaad nahii
bhooltey jatey hain mazzi ke dayaar
yaad aayein bi tu sub yaad nahii
aaisa uuljha hoon ghum duniya mein
aake bhi khawab tarb yaad nahii
rishta jaan tha kabhi jis ka khayaal
iis ki soorat bi tu aab yaad nahii
yeh haqeeqat hai ke ahbaab ko hum
yaad hi kub thay juaab yaad nahii
yaad hi serey charagan Nasir
dil ke bujhney ka sabab yaad nahii
*By: Nasir kazmi
*