poem.........

Samnadar chandni mein raks kerta hay
Parinday badloon mein chup ker gun ganatay hain
Zameen kay bhaid jaisay chand taroon ko sunatay hain
Hawa sargooshiyoon kay jaal bunti hay
Meri awaz sunti hay
Tumhain fursat milay to dekhna
Lehroon mein ek kashti hay
Aur kashti mein ek tanha musafir hay
Musafir kay laboon per wapisi kay geet
Lehroon ki subak gaki mein dhaltay
Dastaan kehtay
Jazeroon per kaheen bastay
Puranay sahiloon per goonjhtay rehtay
Kisi manjhi kay nagmoon say galay mil ker palat tay hain
Abhi kuch raat baki hay
Tumhara aur mera sath baki hay
Anhairoon mein chupa ek rooshni ka hath baki hay
Chala aana
Kay hum is aana wali subah ko ek sath dekhain gain

:k: good one

Wonderful …:k:

:konfused:

azad jee aaj ka din aap ko kuch samgh nahien aa rhi khariat???

good one Doctor sahiba :k: