PM aur journals ka wisaal

PM system aur journals aaj apni aakhri saansain lai rahy hain…

Har guppie aur guppan par farz hai kay unn ki ayadat bhi kary aur
dua-e-maghfarat bhi :teary1:

saath main ye bhi dua karin kay lawaheqeen ko sabr-e-jameel ata kiya jai… aur iss sadmay ko poori istaqamat say bardaasth karnay ka hoslaa ata ho.

Taaza khabar ye hai kay PM system ko hamishaa kay liyey manoN mitti main dabaaa diya jai ga :teary1: jab kay Journals par hanoot-kaari (mummification) kar kay gupshup kay museum main hamiashaa kay liye rakh diyaa jai ga taa kay aaindaa naslaiN gupshup ki iss yaadGaar ko daikh kar abaa-o-ajdaad ko yaad rakhin aur unn kay kadmoN par chalnay ki koshish karin

Re: PM aur journals ka wisaal

Thank you for re-emphasizing what has already been said. We owe you a big thanks.