Piyar Ka Pehla Khat

"Pyaar ka pehla khat likhnay mein waqt to lagta hai,
Naye parindo ko udnay mein waqt to lagta hai !

Jism ki baat nahin thi, unkay dil tak jaana tha,
Lambi doori tay karnay mein waqt to lagta hai !

Gaanth agar lag jaayey to, phir rishtay ho ya dori,
Lakh karen koshish khulnay mein waqt to lagta hai !

Hamnay illaj-e-zakhm-e-dil to doond liya lekin,
Gharay zakhmon ko barnay mein waqt to lagta hai !

Pyaar ka pehla khat likhnay mein waqt to lagta hai,
Naye parindo ko udnay mein waqt to lagta hai !

:k:

:k:

:k:

Re: Piyar Ka Pehla Khat

Bilkul lagta hai :frowning:

nice one thanx for sharing :k:

Re: Piyar Ka Pehla Khat

[QUOTE]
*Originally posted by Dania_2000: *
"Pyaar ka pehla khat likhnay mein waqt to lagta hai,
Naye parindo ko udnay mein waqt to lagta hai !!
[/QUOTE]

Aankhon Mein koi khawaab utarney nahin deta
Woh shaks Mujhey chain sey marney nahin deta
Bichhray tou ajab Pyaar jataata hai khaton mein
Mil jaaey tou phir Hud sey guzarney nahin deta
(Anonymous)

(From the Desk of Dr. Adnan Nadeem Iqbal Dani, Urf Pakka Paindoo Pharaam Manchester Ju Kay)

Re: Re: Piyar Ka Pehla Khat

:k: thanx for sharing nice one :k:

Re: Re: Re: Piyar Ka Pehla Khat

your love is always with me.. cheers