Assalam-o-Alaikum!
Kal main Picnic par gayee thee “Jack darling Park” family and cousins kay saath..bohat mazaa aaya..
well hum ghar sey niklay 1 bajay aur wahan par 2 bajay tak pohnchay..mississauga main meri cousins rahtee hain..hum unkay ghar gaye phir wahan par aur doosray cousins ka wait kia..sab mil kar par wahan sey 2:50 par niklay aur 15 minutes main park main pohanch gaye..phir half an hour tou larkon ko parking dhoondnay main lag gaya kyun kah bohat bohat ziadah rush tha..aur hum larkiyaan..plus bachon ki ammain..grill kay aaspaas bethi theen bench par..aur apnay bachon ko sambhalnay main lagee hoi theen..phir hum nay 2 ghantay baad khana khaya..kyun kah barbecue main bhi time laga..![]()
uskay baad..phir sab larkay lake par chalay gaye..aur main apni bhabhiyon aur cousins kay saath idhar udhar tahaltee rahee..humara wahan aur ruknay ka plan tha magar baarish start hogayee tou hum wahan sey nikal gaye aur ek cousin kay ghar jaa kar sab nay chai pee..aur phir ghar aagaye ![]()