ye pichlay ishq ki baatain hain
jab aankh men khwaab damaktay thay
jab dil men daag chamaktay thay
jab palkain shehr k raston men
ashkon ka noor lutaati thin
jab saansain ujlay chehron ki
tan man main phool sajati thin
jab chaand ki rim jhim kirnon se
sochon men bhanwar par jaatay thay
jab aik talatum rehta tha
apnay bay-ant khayaalon men
har ehd nibhaanay ki qasmain
khat khoon se likhnay ki rasmain
jab aam thin hum dil waalon main
ab apni ujri ankhon main
jitni raushan si raatain hen
us umr ki sab soaghaatain hen
jis umr k khwaab khayaal huay
wo pichli umar thi beet gaee
wo umr bitaaey saal huay
ab apni deed k rastay main
kuch rang hai guzray lamhon ka
kuch ashkon ki barsaatain hen
kuch bhoolay bisray chehray hen
kuch yaadon ki baaraatain hen
ye pichlay ishq ki baatain hen!!!