**
Chaand phir aaj khayaloon kay haseen angaan main
Chupkey Chupkey Say Dabay Paoon Utar aya hai
Apnay Daman main Damktay huay Taray Lay kar
Meri Ankhoon kay Dareechoon ko Sajanay Kay liye
Rang Bikhernay Chala aya hai
Main Ghum e Zeest Kay sab Dard Faramosh Kiye
Bhagtay Waqt ki Raftaar Ka Ehsaas liye
Sunti Jati hoon Guzartay huay lamhoon ki Sada
Raat Dhalnay ko chali aye Magar neend kahan
Aur Fursat bhi kissay hai kay woh Murh kar dekhay
Meray peechay Jo gharee hai
Mujhe Kiya kehti haiā¦!!!