Yeh Tunnia (dunia) piaar ki bhooki hay Shabboo… iss dunia main piaar to bohat hay lekin piaar ko samjhnay wala/wali nahi paaro ![]()
( ever seen those rang-barangay piaaray laal, haray, neelay, peelay at any women college gate? Kiss tarah un k piaar ubal raha hota hay un ki ankhon aur laboN say )
Lekin majaal hay jo kabhi un kay hissay main return-piaar aaya ho, wo 6th say 12 main pohanch jati hain, iss arsay main kitnay hi fashion aayay aur gayay, lekin Piaaray Laal nay kabhi balon main sarsooN ka tail dalna nahi chora… aur phir kuch din baad piaray laal Mamoon kehlaanay lagay, lekin phir bhi piaaray laal nay himmat nahi hari kabhi, balkay wo hamesha waqt say 2 mint pehlay hi gate par pohanch jaatay hain …
Doosri taraf kuch log hain jo piar kay bhookay hain (gurba, gareeb miskeen) un beecharon ko piaar hi nai milta, becharay piaar k liay kabhi idhar to kabhi udhar, har gali, koocha, nadi naalay talash kartay rehtay hain, magar piaar kaisay milay, wo to wahan Collegge gate par khara apnay nawason ki naani ka iantaizaar kar raha hay …
Insaan ko 5 waqt ki roti milay ya na milay, lekin piaar say bhara aik tokra zaroor miltay rehna chahyay … iss say piaaray laal bhi khush aur un kay shikaar bhi…
Kuch Log ( piaaray laal k ilaawa) kehtay hain kay jeenay k liay piaar nahi paisa chahyay… lekin ham yeh kehtay hain kay agar piaar hi na ho to kaisa paisa kahan ka paisa ? Yeh Paisay say piaar hi to hay jiss ki wajah say wisaal-e-paisa hota hay… agar piaar main shiddat na ho to paisa doosri taraf khisak jaata hay…
Ham nay daikha ( aur suna bhi ) hay kay JIN ( daro matt) kay pass paisa hota hay wahan piaar khud ba khud kincha chala aata hay … yeh baat kaisi ajeeb hay, pehlay us paisa say piaar to kara to return main paisa mila phir sab ko us piaaray laal say bhi piaar hogaya … wo konhay jo!!! paisa ya phir piaar jis nay piaaray laal ko Shabbo kay qareeb laaya ? … kia yehi piaar hay …( cut— no gaana beep)
Paisa aisa magnet hay jo jiss kay pas ho us say sab hi kachay dhaagay ki tarah kinchna chaatay hain, aur phir aik khaas moqay ki talash main rehtay hain kay jab paisay kay piaar main kami ho aur yeh fatak say us piaaray paisay ko apnay qaboo main karlain …
Piaar hath ka mayl-kuchail hay… yeh aaj kal kay Piaaray LaaloN par fit aata hay, jiss tarah wo aaj kal phone SIMM badaltay hain, waisay wiasay un ka piaar bhi badalta jaata hay … abhi Shabnam… to kabhi Aankhnum aur kabhi Begam … phir piaaray laal ki peeth aur Shabbo ki sandle…
Begam bhi aik ajeeb cheez hay, jab yeh begam nahi hotin to bari piaari hoti hain, jab begam ban jaati hain to Nagan ban jaati hain, aur mard kay dil kay darwaazay par apnay phann phailay baith jati hain… aankh khawand ki ankhon main aur phann us aankh ka taaqub karti haseena par… ajeeb cheez hay yeh begam bhi, apni hi brotheri ( balkay sistari) ka bhi khayal nahi, agar kisi khawand nay thora sa piaar kisi chalti-purzi haseena ko bator-e-etohfa day dia to iss main konsa toofan aagay ? Arrey bhai aakhir cheezain baantnay say hi to barhti hain na …
*Daba Abba Khan Sahib - Karachi Waalay
(September 09, 2008 ki aik haseen dopehar 1:45 bajay)
*