Phool khud he bikhar gaya hoga

[FONT=Century Gothic]Phool khud he bikhar gaya hoga
Muskuranay say dur gaya hoga

Aik parwana apni shamma ko
Zindagi dai kay mur gaya hoga

Jab suna hoga maiN keh zinda hooN
Unka chehra uttar gaya hoga

Ishq ki manzileN to aasaaN theeN
Husn dushwaar kur gaya hoga

Ashk aankhoon main phir ubhar aa’ay
Ghum se paimaanah bhur gaya hoga

Aaj kioowN haiN udasiaaN “Tanha”
Durd dil meN thehar gaya hoga