phhool khile tak hii iktifaa kareN to bahtar hai…kahiiN ‘shagoofe khilaane’ yaa ‘gul khilaane’ tak baat pahoNchii to baat hogii rusvaaii kii kiuN k:
**
milte hii nazar un se dil ban gayaa saudaaii
ik pal kaa nazaara thaa, ik 'umr kii rusvaaii!**
hahaha…ba’d az wa’laikum aadaa o tasleemaat 'arz karnaa chaahuuNgaa k bad-du’aa to 'ishq ke maaroN ke liye hotii hai…magar…du’aa 'ishq ke shaa’iqeen ko matloob hotii hai jo dii maiN ne aapko…mauj kareN!
Aap ka jawab mosool huwa.. PaRh kar tabiyat main ek suroor sa aa gaya. Lillah hum Ishq fishq ke chakaron se door hi rehte hain.. aap dua karen ke hum ishq majazi se pehle ishq e haqeeqi tak pohunch jaen
moHtaramii o mukarrammii janaab e Muqawwee saaHib daamat barakaatahu kaise haiN? Bhai, ek baat yaad rakkheN aur vo yeh k…'ishq hone kaa 'ilm 'ishq ho jaane ke ba’d hii hotaa hai…jab bahot door ho chukii hotii hai…so…Ghaur farmaayeN…kabhii baras do baras ke andar koii aisii mulaaqaat kisii se huii jise aap hanoz bhulaa na sake hoN?