Mujh se Kehta Hy Kabhi Dil Ma Malaal Aatay Hain…?
Kaisay Kaisay mere Dushman Ko Sawaal Aatay Hain.
Ye Jo Hum Rotay Hain Chup Kar Kabhi Tanhai main.
Rafta Rafta Tujhe Aankhon se Nikaal Aatay Hain.
Hum Muhbbat Pe B Ehsaan Koi Rakhtay Nahi.
Naikiyan Karty Hain Daryaaon Ma Daal Aatay Hain.
Ye to Saanso K Ukhar Janay K Din Hain.
Aisay Mosam Ma Kahan JaaH-o-Jalaal Aatay Hain.
Bas Esi Khouf se Soye Nahi Ek Muddat se.
Hijar milta Hy Agr Khuwaab Wasaal Aatay Hain.
Phool Khil Jaaye to Us Shaks se Kam Kam Milna,
Aisay Mosam Ma Muhbbat Pe Zawaal Aatay Hain.