phir yeh jaan bakee kyun hai

[TABLE=“width: 100%”]

**Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai**

Re: phir yeh jaan bakee kyun hai

nice.

Re: phir yeh jaan bakee kyun hai

**Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

ghaur talab baat hai
**

Re: phir yeh jaan bakee kyun hai

**Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

:snooty:

aadat si ho gai hai warna
kia rakha hai in baton main
**

Re: phir yeh jaan bakee kyun hai

**tum aaty nahi
jan jati nahi

wala muamla hi **:(