Phir usi rahguzar par shaayad
Hum kabhi mil saken magar shaayad
Jaan pahchaan se kya hoga
Phir bhi aye dost ghaur kar shaayad
**Muntazir jin ke hum rahe unko
Mil gaye aur humsafar shaayad
Jo bhi bichhade hain kab mile hain Faraz
Phir bhi tu intezaar kar shaayad
(Ahmed Faraz)
**