~ phir tere laboon pe ussi bewafa ka zikar ~

Us ko juda huwe bhi zamaana bahut huwa
Ab kya kahain ke yeh qissa puraana bahut huwa
Dhalti na thee kisi bhi jattan se shab-e-firaaq
Ay marg-e-nagahaan, tera aana bahut huwa
Hum khuld se nikal tu gaye hain per ay Khuda
Itne se waakayay ka fasaana bahut huwa
Ab hum hain aur saaray zamaanay ki dushmani
Us se zara sa rabt barhaana bahut huwa
Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko waar dain
Is aashiqui mein jaan se guzarna bahut huwa
Ab tak tu dil ka dil se ta’aruf na hosaka
Maana ke us se milna milaana bahut huwa
Kya kya na hum kharaab huwe hain magar yeh dil
Ay yaad-e-yaar tera thikaana bahut huwa
Kehta thaa nasehoon se mere munh na aaeyo
Phir kya thaa ek ‘Hoo’ ka bahaana bahut huwa
Lo phir tere laboon pe ussi bewafa ka zikar
‘Ahmed Faraz’ tujh se kaha na bahut huwa …

Wah Faraz Sahab ki tu baat he kuch our hai :k:

Thanx for sharing !

dats y faraz izz a living legend....

kher......

Jis ko sub bewafa samjhtay hain
bewafaee ussi say mushkil hay

and

bahut kamal thaye uss main aur aaik yeh bhee tha
k aik makam say aagay wafa na kerta tha

thnx for sharing ZF

Us ko juda huwe bhi zamaana bahut huwa
Ab kya kahain ke yeh qissa puraana bahut huwa

beautiful…:k: