phir teray na aanay ki khabar shaam main aai
zehraab si talkhi si meray jaam main aai
ay kaash na poora ho ho koi bhi mera armaa
yey aur tammuna dil-e-nakaam main aai
kia kia na ghazal teri judaai main kahi hay
barbaadi-e-jaan bhi to kisi kaam main aai
kuch tera suraapa meri shaairi main utra
kuch shairi meri teray inaaam main aai
kab tuk gham-e-doraa mujhay fitraak main rakhta
aakhir ko dunia bhi meray daam main aai