Door apne dais se muddat guzer jany k bad,
Ajnabi khud ko laga mein apny ghr jany k bad,
Raat bhr meri basarat tergi ki zad mein thi,
Roshni utri magar meri nazar jany k bad,
Mery dono bazu’on ko tairna aata nahi,
Yad ye aya samandar mein uter jany k bad,
Lout aya dastakein de kr to darwaza khula,
Phool meri rah mein barsay guzer jany k bad,
Begunahi ki saza hy silsila dar silsila,
Ek harjana diya hy ek harjane k bad,
Phir talab hy dil ko Mohsin ek taza zakham ki,
Kuchh purani chahaton k zakham bhar jany k bad..!!