phir se mausam bahaaron ka aane ko hai
phir se rangeen zamana badal jaayega
ab ki bazm-e-charaagaan sajaa lenge ham
ye bhi aramaan dil kaa nikal jaayega
aap kar de jo mujh pe nigaah-e-karam
meri ulfat ka rah jaayega kuch bharam
yuun fasaana to mera rahega yahin
sirf unavaan us ka badal jaayega
mere mitne ka un ko zara gam nahi
zulf bhi unki ai dost barham nahi
apne hone na hone se hota hai kya
kaam duniya ka yu hi to chal jaayega
aap ne dil jo ‘Zahid’ ka toda to kya
aap ne us ki duniya ko chhoda to kya
aap itne to aakhir pareshan na ho
vo sambhalte sambhalte sambhal jaayega
[QUOTE]
*Originally posted by ?: *
Koyal...seems sallu ji ko kisi say 'wo' hogaya shayad zara pata to karain kon hayin wo ;)
[/QUOTE]
wohi karnay ki koshish kar rehi wesay lagat tu nahi hia k aik galti phir se koi duharaeiy but still me in koshish....(per ianhin pata na chalnay paiey k me) :p
wohi karnay ki koshish kar rehi wesay lagat tu nahi hia k aik galti phir se koi duharaeiy but still me in koshish....(per ianhin pata na chalnay paiey k me) :p
[/QUOTE]
Galti agar haseen ho...namkeen ho...dil ko chooo jaanay wali ho ho to kon zaalim nahi chahay ga kay galti aik baar phir karli jayay :)