~*~ Phir neend bhala kab aati hai ~*~

http://i53.tinypic.com/1f9uo8.jpg

Jab neend se aankhain bojhal hon
Aur apne aankh se oujhal hon
Phir neend bhala kab aati hai
Jab dil mein basnay wale bhi
Aur sath mein hansnay wale bhi
Door kaheen woh bastay hon
Kisi aur ke sath woh hanstay hon
Phir neend bhala kab aati hai
Jab gham ki raat andheri ho
Aur us mein yaad bhi teri ho

Na dil mein koi ujaala ho
Phir neend bhala kab aati hai …

Re: ~~ Phir neend bhala kab aati hai ~~

aik Goli hoti hai
jo dawa khanay se milti hai
ussay khanay k ba’d
foran say neend aa jaati hai
issiliye ussay shaaid
neend ki goli kahtay haiN
:cb:

Re: ~~ Phir neend bhala kab aati hai ~~

Yeh kaun si goli hai jo dawa khane se milti hai, dawa khane se tau marz door hojata hai ... :D

Re: ~~ Phir neend bhala kab aati hai ~~

ab to har khokhay say milti hai… maiN ne muhazib alfaaz Iste’maal karnay ki koshish ki thi :cb: