***paa-ba-gil sab haiN rihaa_ii ki kaRe tadabeeR kauN ***
***dast-bastaa shahar meiN khole meRi zanjeeR kauN ***
***meRaa sar haaziR hai lekiN meRaa munsif dekh le ***
***kaR rahaa hai mere fard-e-juRm ki tahReer kauN ***
aaj darvaazooN pe dastak jaani pahchaani si hai
aaj mere naam laataa hai meri taazeeR kauN
***neend jab KhvaaboN se pyaaRii ho to aise ahad meiN ***
***Khvaab dekhe kauN aur KhvaabooN ko de taabeeR kauN ***
***reit abhi pichale makaan’N ki na vaapas aa_ii thi ***
***phiR lab-e-saahil gharaunda kaR gayaa taameeR kauN ***
***saare rishte hijratooN meiN saath dete haiN to phiR ***
***shahaR se jaate hue hotaa hai daaman_geeR kauN ***
***dushmanoo k saath mere dost bhii aazaad haiN ***
***dekhnaa hai khe’Nchta hai mujh pe pahalaa teeR kauN ***
Amal
February 19, 2006, 4:15pm
2
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
NikamiJano:

Wah NikamiJi, zabardast ghazal hey…share karney ke leeye shukriya k:
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
woww jano gi bohat khoob :)

saare rishte hijratooN meiN saath dete haiN to phiR
shahaR se jaate hue hotaa hai daaman_geeR kauN
very nice :k:
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
thanks Aymal:)
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
woww jano gi bohat khoob :)
shukria shab:)
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
shukria chandoo g:)
Pakeeza
February 25, 2006, 9:01pm
8
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
Zabardast Posting Nikami ji:-)
IS
February 25, 2006, 10:14pm
9
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
bohat khooooooooooooob
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
Mein kheenchoon?
By the way, teer maarne ke baad bataoonga ke dost hoon ya dushman
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
Capricorn:
Mein kheenchoon?
KIA CAPO
wo pata hia k APP kia ho
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
thanks inocent:)
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
Zabardast Posting Nikami ji:-)
zabardast shukria Pakeeza:)
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
NikamiJano:
KIA CAPO
wo pata hia k APP kia ho
Baree hushiyaar ho gayee ho aap
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
suhbat ka asar hai
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
Nice One NJ
dil ke sun_saan jaziiro.n kii Khabar laayegaa
dard pahaluu se judaa ho ke kahaa.N jaayegaa
vaqt Khaamosh hai ruuThe hue yaaro.n kii tarah
kaun lau dete hue zaKhmo.n ko sahalaayegaa
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
**reit abhi pichale makaan'N ki na vaapas aa_ii thi
phiR lab-e-saahil gharaunda kaR gayaa taameeR kauN * *
wonderful ...very nice
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
nice poem. lakin urdu mushkil hai :P
Koyal
March 5, 2006, 3:46am
19
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
kia ENGlish mediam hain ap k punjabi mediam
Re: phiR lab-e-sahil gharaunda kaR gayaa tameeR kauN
Nice one nikammi..