ehsan
1
**phir koi haath hai dil par jaise
phir teraa ahad-e-wafaa yaad aayaa
**
**jis tarah dhund mein lipate huye phool
ek ek naqsh teraa yaad aayaa
aisii majaboorii ke aalam meN koi
yaad bhii aayaa to kyaa yaad aayaa
yaad aayaa thaa bichhaRanaa teraa
phir nahiiN yaad ke kyaa yaad aayaa
ye mohabbat bhii hai kyaa rog “Faraz”
jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa**
Re: phir koi haath hai dil par jaise
**yaad aayaa thaa bichhaRanaa teraa
phir nahiiN yaad ke kyaa yaad aayaa..
**wow 
Nain
3
Re: phir koi haath hai dil par jaise
mae ney bhi kuch post kya tah abhi yaad nahi araha 
jis ko kuh do wohi muhabbat kehlaty hai 
ASA
4
Re: phir koi haath hai dil par jaise
yaadoN ke ta’aqqub meN agar jaaoge logo
merii hii tarah tum bhii bikhar jaaoge logo
Diva
5
Re: phir koi haath hai dil par jaise
Good one