Phir iss andazz se bahar aii

phir is andaaz se bahaar aaii
ke huye mehar-o-maah tamaashaaii

dekho ai sakinaan-e-khittaa-e-Khaak
is ko kahate hain aalam-aaraaii

e zamiin ho gaii hai sar taa sar
ruukash-e-satahe charKhe minaaii

sabze ko jab kahiin jagah na milii
ban gayaa ruu-e-aab par kaaii

sabz-o-gul ke dekhane ke liye
chashm-e-nargis ko dii hai binaaii

hai havaa mein sharaab kii taasiir
badaanoshii hai baad paimaaii

kyuuN na duniyaa ko ho Khushii “Ghalib”
shaah-e-dii.ndaar ne shifaa paii