**Phir hoi Sheen ALif Meem Khuda khair kare,
Haath mEn aa gaya phir Jeem ALif Meem Khuda khair kare.. .
Mujh ko dar hai k muhabbat mEn kahin ho na jaon,
Noon ALif Kaaf ALif Meem Khuda khair kare.. .
Ishq k raah guzar mEn hain bohat,
Har taraf Daal ALif Meem Khuda khair kare.. .
Aur logon k liye kuch b nahi HUM ne banaya hai TUjHE,
Gaaf Laam Fay ALif Meem Khuda khair kare.. .
'Ain Sheen Qaaf sE paala jo para hai to ab,
Aur koi nahi kuch Kaaf ALif Meem Khuda khair kare.. .
Aik apna tha wohi jaane huva kya uska,
ALif Noon Jeem ALif Meem Khuda khair kare.. .**