phir chalay Jana !

**Chalay jana…

sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana

ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana

bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana

wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana

jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
sama’at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana

merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
mujhe tum doosra unwan lado phir chalay jana

HAIDER ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan,
mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chalay jana…

**

Re: phir chalay Jana !

[BOLD]hamna ji niz one keep sharing

Re: phir chalay Jana !

*sigh
what a poem :(

Re: phir chalay Jana !

nice

Re: phir chalay Jana !

: S

Re: phir chalay Jana !

Wow...... Hilla ke rakh diya

Re: phir chalay Jana !

AQ > mere poem ko moin jo daro say khodnay ka shukriya

,noorgr8,sunnay ,Pg ,capricorn > pasndeedge ka shukriya

Re: phir chalay Jana !

Very Nice Sharing

Re: phir chalay Jana !

Nice poem. I liked it.

Re: phir chalay Jana !

Junoo ko zapt sikha dun toh phir chale jaana

Re: phir chalay Jana !

Buhat Khoob :-)