phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal


**ahliyaan-e-maHfil kii Khidmat meN meraa salaam pahoNche,

ummeed hai k aap sab ke mizaaj-e-giraamii ba-Khair hoNge. is bazm meN maiN aaj apnii pahli Ghazal pesh kar rahaa huuN is ummeed e qawii ek saath k aapkii taba’-e-naazuk par baar-e-giraaN na guzregii. aapkii aaraa o tanqeed o tanqees kaa shiddat se intizaar rahegaa. shukria.

faqat Khaak_nashiiN,

_______KKF

**
**1.
'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN
Husn kii dil_farebiyaan na gaiiN

aaii peerii, gaye shabaab ke din
phir bhii ulfat_sho’aariyaan na gaiiN

aaNkhoN aaNkhoN meN kah diyaa sab kuchh
'ishq kii be_zabaaniyaaN na gaiiN

din to juuN tuuN guzar gayaa, lekin
raat kii be_qaraariyaaN na gaiiN

zabt kis tarHa ho sake, jab k
dil kii be_iKhtiyaariyaaN na gaiiN

huuN guneh_gaar phir bhii baKhshish kii
dil se ummeed_vaariyaaN na gaiiN

bandagii ko bhulaa diyaa maiN ne
unkii banda_navaaziyaaN na gaiiN

Shai’Kh_Ji tum se sab gayaa, lekin
jhooTii parhez_gaariyaaN na gaiiN

maut sar par khaRii hai, “Sai’hbaa-Ji!”
phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN**

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

a sach much itnayyyyyyy .....................

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

hehehe...haN naa! inne VO haiN na shaa'ir saaHib? haha...thank you for visiting the thread :)

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal

**Khalil KhaaN Fakhta gud bhai **](http://www.paklinks.com/gs/members/khalil-khaan-faakhta.html)

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal

Kya khoob ghazal kahi hey KKF ji :):k: … thanx for sharing it with us

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

v nice ghazal but why you gave numbering to every shaer?

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal

thank you bhai ji. :slight_smile:

aapkii pasand aur Hausalah afzaaii ke liye maiN mamnoon aur mutashahhir huN aaapkaa :slight_smile:

**
aapkaa beHad shukria. numbering is liye k taa k jawaab dene waaloN ko aasaanii ho aur unheN agar koi she’r pasand aa jaaye to use poora she’r na likhnaa paRe sirf number de kar Hawaala de deN…just for the sake of convenience of thew readers if they wished to refer to any she’r. :)**

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

got it.

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

Good heiN ye all nine "Sai'hbaa-Ji!"
**
phir bhii akhtar_shumaariyaan na gaiiN**

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

aap ne to baRii chaabuk_dastii se mere maqt'e kaa URDISH meN tarjumalation kar diyaa...shukria "D

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

[QUOTE]
aaNkhoN aaNkhoN meN kah diyaa sab kuchh
'ishq kii be_zabaaniyaaN na gaiiN

[/QUOTE]

Aek baar phir ghazal parrhi aur aek baar phir bohat acha lata... :)

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal


**
aur ek baar phir teh e dil se aapkaa shukria k aapko she'r pasand aayaa aur uskii nishaan dehii farmaayii... :)**

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

each sher is a gem....Allah karay zor-e-bayaaN aur ziyada...

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

Thank You so much Dhoop for liking all ash'aar :)

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

Buhat he umda ghazal kahi KKF... Khush rahiyee

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN...merii ek Ghazal

pasandeedgii ke liye shukria aapkaa bahot bahot :)

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal

Nice ghazal KKF :k:

Re: phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN…merii ek Ghazal

thank you UZ … :slight_smile: