ahliyaan-e-maHfil kii Khidmat meN meraa salaam pahoNche,
ummeed hai k aap sab ke mizaaj-e-giraamii ba-Khair hoNge. is bazm meN maiN aaj apnii ek aur Ghazal pesh kar rahaa huuN is ummeed e qawii ke saath k aapkii taba’-e-naazuk par baar-e-giraaN na guzregii. aapkii aaraa o tanqeed o Hausalah_afzaaii kaa shiddat se intizaar rahegaa. shukria.
faqat Khaak_nashiiN,
_______KKF
**1.
'ishq kii aah o zaariyaaN na gaiiN
Husn kii dil_farebiyaan na gaiiN
aaii peerii, gaye shabaab ke din
phir bhii ulfat_sho’aariyaan na gaiiN
aaNkhoN aaNkhoN meN kah diyaa sab kuchh
'ishq kii be_zabaaniyaaN na gaiiN
din to juuN tuuN guzar gayaa, lekin
raat kii be_qaraariyaaN na gaiiN
zabt kis tarHa ho sake, jab k
dil kii be_iKhtiyaariyaaN na gaiiN
huuN guneh_gaar phir bhii baKhshish kii
dil se ummeed_vaariyaaN na gaiiN
bandagii ko bhulaa diyaa maiN ne
unkii banda_navaaziyaaN na gaiiN
Shai’Kh_Ji tum se sab gayaa, lekin
jhooTii parhez_gaariyaaN na gaiiN
maut sar par khaRii hai, “Sai’hbaa-Ji!”
phir bhii rangiiN_bayaaniyaaN na gaiiN**
![]()