kuch aesi chali hawwa, mera aashiyana bikhar gaya
barson baad jo sanwara tha muqadar ,pal main bigar gaya
qadam ba qadam saath raha jo dushwaar rahon pay bhi
manzil pay pohncha tou wo humdum na’janay kidhar gaya
youn tou wehshat si thee mujhay mohabbat k naam say
janay kis saane’e main wo mairay dil main utar gaya
jeeta tha jo pee kay nafraton kay zehar ko hans kay
wo shukhs mohabbat ki mithaas say marr gaya
talabgaar tha,milain mujhay bhi kuch phool gulshan say
uljhaa maira daman kanto say main jidhar gaya
ASif nay tou manga tha Rub say tujhay pooray dil say
phir bhi kiun har dua bekaar har sajjda be’asar gaya ?