Phir ak cigret jala raha hun
Phir ek teeli bujha raha hun..
Teri nazar may ye mashgala hy
May to uska wada Bhula raha hun…
Samajhna mat isko mere aadat
Ye dhuan jo may ura raha hun
Yeh teri yaadon k silsilay hyn
ME Terii yadyn jala raha hun
May pee k itna behak chuka hun
May to yunhi Ghazal suna raha hun
**Gar bura lagay to maaf karna **
May dill kay qissay Suna raha hun
Phir ak cigret jala raha hun
Phir ek teeli bujha raha hun..