***De ke gham-e-judai woh jane kidhar gaya
Barpa qayyamattain jo mere dil per kar gaya
Jaatay huwe woh le ke dua ka assar gaya
Mujh ko gham-e-hayyaat se begaana kar gaya
Dekh jo soo-e-taj mehal dil ne yeh kaha
Fun tu raha hai zinda ke funkaar mar gaya
Kya yaad kar sakay ga yahaan per mujhe koi
Sheiraaza meri hasti ka jis din bikhar gaya
Phir aaj ussi ko dhondati hai yeh nigah-e-shauq
Dekhay jissay ay dost arsa guzar gaya ...***
Boht khoob arif bhai:k:..
:k:
:)