Phir Aaj Koi Ghazal

Phir aaj koi ghazal tere Naam na ho ja ay
Aaj kahen likhtay likhtay shaam na ho ja ay

Kar raha houn intizaar tere Izhaar-e-Mohabbat ka
Iss Intizaar mein zindghee tamaam na ho ja ay

Aab tu nahin layta tera naam sar-e-aam iss darr se
Kaheen naam tera badnaam na ho ja ay

Maangtah houn dua jab tu yaad aati hia
Kay Judaii meray Pyar ka anjaam na ho ja ay

Sochtah houn, Dartah houn Aksar tanhaiee mein
Uss kay dil mein kissi aur ka makaam na ho ja ay