Phir aagai gham ki raat chalo so jaai

Phir aagai gham ki raat chalo so jaai
phir le aayi hijr ki saughaat chalo so jaai

is se pehle ke ashkon ka kaafila chala aai
aur yaad aajaai wo lamhaat chalo so jaai

phir wohi sooni sej woh murjhaai kaliyan
phir tadap jaai na jazbaat chalo so jaai

dil ke behlaave ke liye teri yaad kaafi hai
phir badal jaai na halaat chalo so jaai

zakhmon ki jalan se bhadakne laga hai man
phir na jalaai ye chaand raat chalo so jaai

din guzar jaata hai zindagi ki bheed-bhaad main
raat aati hai to le aati hai sawalaat chalo so jaai

phir “aarzoo” machal ke jawaan na ho jaai
phir tamanna na jagain saari raat chalo so jaai


Salaam
Hope u all fine
Sorry Shab-e-hijr aap nay kaha tha k 1 din main 2 post karni hain per yeh itne ache lagi k muj say raha nhi gya to yeh b ker de is k liyeh SORRY

Re: Phir aagai gham ki raat chalo so jaai

wasalaam
meri suggestion ye hay k bajaey new thread open karnay k apni pasand aik hee thread main share kar lain aik din main.
bahut umda choice hoti nokia g aap ki.