"Alwida aye December Alwida!"- Part I--- by: "AQ"
Alwida aye December - Part I
**
Alwida aye December**
Alwida!
jaa rahay ho tum
shukriyaa tumharaa
Aye Maah-e-December
Alwida!
Bheega bheega yeh maah-e-December
YaadouN kee meri, iss maiN hay ab Qabar
Jinn say dil maiN aik chain bhee hay
ik dukh bhee hay aur ik khalish bhee hay
magar aye December!
teraa hay ab mujh par karam
aur meri taraf say tumhaiN ab
Alwida!
Aye Maah-e-December
Alwida!
pardah uTh gayaa haqeeqat ka kuch aisay iss December maiN
dilouN kee baat youN hee tau nahiN aa gaie lubouN maiN
HoNTT tau dil say juda thay so kaaNpay nahiN kissi kay bhee
nafrat kaa behr-e-baykaraaN dekh liya laikin maiN nay dilouN maiN
iss nazaaray kaa shukriya, Alwida!
Aye Maah-e-December
Alwida!
tera mujh par yeh ehsaan hay
tu nay dikhlaa diye mujh ko
sitaarouN kay woh jaltay nasheman
kay dooor say dekhnay waali aankhaiN bhee
ab pehchaan gaieN qurbat-e-kawaakib bhee
chaand kaa daagh hay ab accha lagnay laggaa
hus'n-e-Qamar maiN izaafa youN honay laggaa
jo saaf nazar aataa hai, woh hee buss haseeN hay
Abb daagh-e-Mehtaab yaqeenan chaand say bhee haseeN hay
tau aye meray dost!
Aye Maah-e-December
Alwida!
Loug kehtay haiN tu TanhaaiyouN kee yaad dilaataa hay
Loug kehtay haiN tu ghamouN ko sung apnay laataa hay
Loug yeh bhee kehtay haiN kay tujh maiN bayqaraari hay
agar aisa hay meri jaan!, tau tu sub maheenouN par bhaari hay
laikin!
loug tau kehtay hee haiN aur kehtay hee rahaiN gey
maiN jaantaa hooN kay meray liye ab tu kiyaa hay
Dooor tanhaaiyouN ko karnay walaa meraa maseehaa hay
ghamouN kee wujooh kiya hay, yeh tu nay hee batlaayaa :-)
ghamouN maiN pinhaaN bayqarari ko chain tu nay diyaa hay
iss nawaazish par tum par maiN hooN ab fidaa
Aye Maah-e-December
Alwida!
maiN khush hooN kay tu nay saabit ghalat mujh ko kiya
meray ghamouN aur tanhaaiyouN ko naabood tu nay kiyaa
Bataa diyaa mujh ko kay raaz-e-hast-O-bood kiyaa hay
kay Bay-dilouN kay haath maiN yeh dil ik khilona hay :~)
Tu nay bachaa liyaa mujh ko uss dil-e-bay-dil say
Naa yaqeeN thaa mujh ko kay nafrat hay jiss ko mujh say
Meraa bolnaa jiss ko dooor lay gayaa hay mujh say
jis nay paRh liya dil ko meray faqat ik hurf-e-naa samajh say
Shiddat-e-ghum aur baRh jaata jo yeh sub naa hotaa
ThoRaa hairaaN hee rehtaa maiN gar woh sub naa hotaa
Dil kee munaafiqat hoNToun par aa gaiee jub
Mujhay ALLAH kee yeh baat yaad aa gaiee tub:
Allah nikaal laataa hay buraaie maiN say acchaaiee ko
Quran kaafi hay iss baat kee gawaahii ko
Waqt lay lay gaa hissaab mairaa abb sub say :~)
tau meray saath rehnay par tumhaaraa shukriyaa
Aye Maah-e-December
Alwida!
by
Anwaar Qureshi - Dec 22, 2003