**10 December**
Gul-e-zaban pay wahee sardion ka mosam hai
tumhare 'haan' pay wahee sardion ka mosam hai
darkhat par khabhi jo churion say dala tha
us aik nisaan pay wahee sardion ka mosam hai
yeh aik hum kay nayee bolian sada bolein
tere zaba pay wahee sardion ka mosam hai
sulg rahe hay dahan mayn qabayein lafzoon ke
magar zaba pay wahee sardion ka mosam hai
tumharay anay pay suraj kay hath chamkay gayein
meray makaa'n pay wahee sardion ka mosam hai
her aik simat peghlnay lagay hayn sanatay
teray beeaan pay wahee sardion ka mosam hai
jahaan jahaan tere khusbo kay rang bekhray hain
wahan wahan pay wahee sardion ka mosam hai
tere judaee kay pal say hua hai ishq kanoot
ke is jahaan pay wahee sardion ka mosam hai
wo 'haan' karay gee baharoon mein uska wadaa tha
us aik 'haan' pay wahee sardion ka mosam hai
woh mujhe ko sonp gaya faraktein december main
darkhat-e-jaa pay wahee sardion ka mosam hai
hamaray lab to duaain jalayay rakhtay hain
per asman pay wahee sardion ka mosam hai
**BeInG lOnEly !!! sId !!!**