Phir Aa Gaya December

Re: Phir agya December

Shukran Habibi :bb:

Re: Phir agya December

**10 December** Gul-e-zaban pay wahee sardion ka mosam hai tumhare 'haan' pay wahee sardion ka mosam hai darkhat par khabhi jo churion say dala tha us aik nisaan pay wahee sardion ka mosam hai yeh aik hum kay nayee bolian sada bolein tere zaba pay wahee sardion ka mosam hai sulg rahe hay dahan mayn qabayein lafzoon ke magar zaba pay wahee sardion ka mosam hai tumharay anay pay suraj kay hath chamkay gayein meray makaa'n pay wahee sardion ka mosam hai her aik simat peghlnay lagay hayn sanatay teray beeaan pay wahee sardion ka mosam hai jahaan jahaan tere khusbo kay rang bekhray hain wahan wahan pay wahee sardion ka mosam hai tere judaee kay pal say hua hai ishq kanoot ke is jahaan pay wahee sardion ka mosam hai wo 'haan' karay gee baharoon mein uska wadaa tha us aik 'haan' pay wahee sardion ka mosam hai woh mujhe ko sonp gaya faraktein december main darkhat-e-jaa pay wahee sardion ka mosam hai hamaray lab to duaain jalayay rakhtay hain per asman pay wahee sardion ka mosam hai **BeInG lOnEly !!! sId !!!**

Re: Phir agya December

Karachi Mein To December Ki Baarish Ho Gayi !

Re: Phir agya December

**11 December** Bheega Bheega Sa Yeh December Hai Bheegi Bheegi Si.. Tanhai Hai In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta Hum Ko Sajni Ki Ya..ad Aai Hai Bheega Bheega Sa December Hai Shaam Ki Kaali Aankhain Jab Palkon Ko Chapkaati Hain Kissi Pair Kay Neechay Kuch Yaadain Gungunaati Hain Kuch Pyar Kay Aadhay Nagmay Aadhi Pyar Ki Kahaani.. Aik Shehar Ka Raja.. Aur Ek Gaon Ki Rani Donon Baray Premi Thay Ban Main Aaya Kartay Thay Unkay Pyar Kay Meethay Nagmay Panchi Gaaya Kartay Thay Ab Na Premi Hain Na Woh Baatain Hain Aur Yaadain Hi Apni Kamai Hai.. In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta Hum Ko Sajni Ki Yaa..ad Aaaai Hai.... Is Kamray Ki Khirki Baarish Ka Shor Sunati Hai Aur Tumhari Aahat Hum Ko Yeh Rog Lagaati Hai.. Ab Kay Saal December Main Jab Ban Main Mein Jaoon Ga Neeli Jheel Darakhton Kay Saayay Aur Sookhay Pattay Saaray Tera Poochain Gain Kahan Hai Tera Poochain Gain Tera Premi Yaar Kahan Hai Saaray Tera Poochain Gain Kya Bataoon Ga Kya Kahaani Hai Ab To Qismat Main Apni Judai Hai.. In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta Hum Ko Sajni Ki Yaa..ad Aai Hai... Shaam Dhallay Jab Panchi Apnay Apnay Ghar Jaatay Hain Koi Mujhay Batlayay Mujhko Yeh Kyun Tarpaatay Hain Mainay Bhi Ek Sapna Dekha Tha Apnay Ghar Ka.. Kho Na Jaye Mera Panchi Lekin Mujhko Darr Tha Mera Yeh Afsaana Hai Saara Yeh Afsaana Hai Mera Panchi Rasta Bhoola Pagal Hai Anjaana Hai Tu Gaya Hai To Mainay Jaana Hai Mera Dil Ab Bhi Tera Deewana Hai In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta Humko Sajni Ki Ya..ad Aai Hai... Bheega Bheega Sa Yeh December Hai Bheegi Bheegi Si.. Tanhai Hai In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta Hum Ko Sajni Ki Yaa..ad Aai Hai... **BeInG loNeLy !!! sId !!!**

Re: Phir agya December

mubarik ho
naha lena tha.
kuch hary bary hojtay

Re: Phir agya December

12 December

Ye jatay baras k akhri lamhay
Guzarti sa'atooN k dhundlakay
Aur
PalkooN pe yaadoN k sitaray
Pal bhur ko yooN laga jaisay
Inhi yaadoN inhi kahaniyooN k beech
Waqt thum sa gaya ho jaisay
Woh jo chiraagh jala tha roshnie k liye
Mudhum ho gaya ho jaisay
Aur jo durya mohabbatoN ka tha
Ab uter gaya ho jaisay
Akhri shaam ka doubta suraj
Kuch keh raha ho jaisay
Un chahatoN ka suraj bhee
Doub raha ho jaisay
Magr ab dil maiN yaadoN k siwa
Aur ankhoon mein aanso'oN k siwa
Aur bacha hee kia hai
Jo ab aakhri sa'atooN k naam karooN
Wo sub chahateiN aur sub mohabbateiN
Aur unn mohabbatoN ki sari shiddateiN
Sub kuch tou ussi k naam ker diya tha
HaaN! magr itna yaad hai
Uss Waqt bhee suraj yooN hi doub raha tha
Aur... wo bhee
December ki aakhri surd shaam thee
Jub us ne dheerey se kaha tha
"Naya Saal Mubarak...!"

BeInG LonEly !!! sId !!!


Re: Phir agya December

humaray haal pe roya December
wuh daikho....toot ke barsa December
guzar jata hai sara saal yooN tou...
nahiN kat'ta magar...tanha December
bhala barish sey kiya sairaab hoga!
tumharay wasl ka piyasa December
wuh kab bichhRa?...nahiN ab yaad..lekin
bas itna ilm hey...ke tha December
milan ke chand sikkay daal iss meiN...
merey hathoN meiN hey kaasa December
yooN palkaiN bheegti rehti haiN ... jaisay
meri aankhoN maiN aa thehra December
jama poonji yehi hey umr bhar ki
meri tanhaai aur....mera December
sabab na pooch merey aansuoN ka...
hey pehlay hijr ka... pehla December
maiN in yadoN say bach ke jaooN kaisay
ke meeloN door hey phaila December..
meri ankhoN say gar daikho ...tou jano..
ke hey barsaat meiN jalta December
abhi tak kohr meiN dooba hey aangan..
abhi tak yad hey... pichla December..

By Mehroo<!-- google_ad_section_end -->

Re: Phir agya December

13 December

December ab bhi tera muntazir hai
Woh Lamhay
Soch ki dehleez per thehray huwe hain
December ke maheenay mein
Hazaaroon saal pehlay jab
Tere waday ke hontoo ne
Meri aankhoon se behti zindagi ke haath choomay thay
Meri be-rang baatoon ke kinaray
Tum ne khwaboon ke sahaaray
Aur ashkoon ke sitaaray rakh diye thay
Aur
Hawa ko apni chaahat ki hifaazat ka ishaara kar diya tha
Hawa ki khunkeyoon mein ab bhi teri narm baatain
Aahatoon ka jaal bunti hain
Sama'aat ab bhi tere qehqahoon ka shor sunti hain
Khayaal ab tak teri ungleyoon se
Mere dil ke surkh aansoo poonchta hai
Nighain barf ke phailay chamktay kainos per ja ba ja
Teri rafaqat ki zaroorat paint karti hai
Thattartay paaneyoon ke tan pe bikhari dhoop
Tera hijar roti hai
Kahaan hoti ho tum
Muhabbat ki sulaghti rehguzaroon ke kinaroo per
December ab bhi tera muntazir hai...

BeInG lONely !!! sId !!!


Re: Phir agya December

*Kaha Uss ne.. *

Kaha uss ne December ko kabhi jalltay daikha hai
kaha main ne chahat ki hadon ko chu kar daikha hai

kaha uss ne k puura chaand kitna khoobsurat haii
kaha main ne k main aksar tairi tasveer takta hon

kaha uss ne maire saathi banayen barf ka ik gharr
kaha main ne December mein hawayen gungunati hain

kaha uss ne December ki chamakti chaandni daikhii
kaha main ne taire baad main ne kuch nahin daikha

kaha uss ne December mein tairi yadain satati hain
kaha main ne mairi jaanaan mohabbat kab bichartii hai

kaha uss ne tairi yaadain jalati hain maira aanchal
kaha main ne December ko chalo phir se bulatay hain

2 Likes

Re: Phir agya December

^ kis nay kis ko kaha hai ye bhi bata dou :chai:

Re: Phir agya December

Nice sharing shumaisa :k:

Re: Phir agya December

**14 December** Suno suno kay is saal ki hur gharri tumhari tarah mein ne bhee guzari kissi ki yaad mein kitni tanha thee mein suno December! meri jaan nikalney kion aatay ho abhi hum ne apne ansooun se wazo bhee nahi kia abhi tu roh ko nehlana baqi hai suno December! un se milne ki bharpoor tamanna baqi hai... **BeInG LoNeLy !!! siD !!!**

Re: Phir agya December

**15 December** december ke baarish meh beegtai pero sai poocho akela pan kya heh sar pehr ke dhoop ko tarsna aur baarish meh beeghtai rehna jangal ke raahon meh akela chalna is kai garam haathon ke chah ko tarsna aur baarish meh beeghtai rehna december ke baarish meh lehrdar mehkhte hawa sai poocho khooshbo sa khayaal rakhnai walai tanha kaisai rehta heh beeghtai heh jab sard raatein december ke baarish sai kaho kabhi jangal kai is paar mailay dehltai hoo shaam kai saye to in aankhon sai milai **BeIng lonEly !!! siD !!!**

Re: Phir agya December

**16 December** Ehsasaat se aari khali wajood bay asar ankhon mein na koi umeed ki konpal december ki thatharti shaamon ki tara jazbaat bhee sard pata nehin kyun magar phir bhee muhabat mein insaan dukh bhee uthata hai **beIng loNely !!! sId !!!**

Re: Phir agya December

good going sid :slight_smile:
keep it up :flower1:

Re: Phir agya December

nice sharing every one :)

Re: Phir agya December

Thanks shab n koyal :)

Re: Phir agya December

**17 December** Tumhari aas ke gamloo mein rakhe phool murjhaane lage hain Judaee dhoop lagti hai bahut hi talk chubhti si December June lagta hai Kisi ke naam ki ghanti baje mujh ko tumhara phone lagta hai Tumhare laut aane tak na jane ki qadar lambi udaasi Aankh ke bistar mein chup ke raat likheygi Abhi tu phir bhi baqi hai koi sapna Tumhare lams ke zinda warq per Tumhari khushboyein zinda hain Phooloon ke badam mein Magar aisa na ho ke khushboyein be-chehargi pehnain Kaheen aisa na ho ke phool jal jayein Kisi sapne ke bhujte hi Tumhara lams mar jaye Gulaboon ke badan mein zang lag jaye Kaheen aisa na ho Janaan ! Ana ki surkh tehni per koi talwaar ugh aaye Tumhare aur mere darmeyan deewar ugh aye Kahen aisa na ho ke soch ki khirki mein koi weham aa bethay Mein is takmeel ke adhe safar mein hi na marjaoon Mausam jo adhoora hai, adhoora hi na reh jaye Abhi tu aankh ki mashal mujhe rasta dikhati hai Abhi tu aaena chehra dikhata hai Saraam si hi sahi janaan yeh rasta pair ke neeche Abhi tu aas likhta hai Abhi hai wakt mutthi mein Agarche rait ki maanind phisalta ja raha hai per Tumahre laut aane tak sambhalonga koi lamha Yeh sara wakt girne se Mere hathoon se behne se Zara aik lamha pehle tak Agar tum laut aao tu Agar tum laut aoo tu meri takmeel hojaye ... **BeIng loNely !!! sid !!!**

Re: Phir agya December

wow nice stuff :k:

Re: Phir agya December

18 December

http://www.uploadgeek.com/uploads456/0/tumarybadDEC.gif

BeIng LoNely !!! sId !!!