Phir Aa Gaya December

Re: Phir agya December

USAY KEHNA Usay kehna December aagaya hay! December kay guzartay hi baras ik aur mazi ki ghupa maiN doob jaaye ga usay kehna December laut aay ga magar jo khoon sojaayega jismoN maiN na jaayega usay kehna hawaiN sard haiN aur zindagi kay kohray dewaroN maiN larzaaN haiN usay kehna shagofay tehnion maiN so rahay haiN aur un par barf ki chadar bichi hay usay kehna agar sooraj na niklay ga to kaisay barf pighlay gi usay kehna kay laut aaye!! **being** **lonely !!! sId !!!**