pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye

**pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye
fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye

pehle mijaaz raah guzar jaan jayeeye
fir kard-e-raah jo bhi kahe maan jaayeye

kuchh keh rahi hai aapke seene ki dhadkane
mera nahi to dil ka kaha maan jayeeye

ik dhoop si jami hai nigaahoN ke aas paas
ye aap haiN to aap pe kurbaan jayeeye

shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho
aaNkhO me jhaank kar hame pehchaan jayeeye**

Re: pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye

**pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye
fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye

:eek: be rah ravi phelane ka ilzaam
**

Re: pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye

be rah ravi tauba tauba

Re: pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye

ab baray ho joaye
choi moi na banye

Re: pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye

lain ji main to bra ho gia. wsy b aj jb office a reha tha. to ALLAH muaf kray pta nei log q apni sisters, wife ki numaish krtey phirtay hn.

Re: pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye

:wub:

Re: pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye

Qateel Shafai. :chai:

Re: pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye

**shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho
aaNkhO me jhaank kar hame pehchaan jayeeye

wah ji.. paas aane ka acha bahana hai
**