Meri dosari koshish hazir e khidmat hai ap ki tabsaray ki muntazir
aksar totay huay diloon ki sada shayeri main dhal ker ubhartee hai
aur khwahish shairi ki sorat main shairoon main dhal jati hai aur totay huay diloon ko qarar baksh jati hai .
kuch sadayien door talak jati hain aur shairi ki soorat main dhal kar logoon key zehano main rakum hojati hai..
Peecha karay gi door taak meri sadayien
umar bhar bhool na paogey tum meri wafaien
shab ki tanhae main bahut rogey yaad karkay
kay kaisay kaisay hansti theen teri jafayien
fidda thee soo jaan sey main jin per
reh reh kar ab rulati hain woh teri adayien
sochti hoon palat aoogey chahaat say hokar majboor
main kardogi maaf teri sari khatayien
aaj meray saath meray dukh main hain shareekh
yeh sawan , yeh badal, yeh baarish, yeh ghatayien
kaal shab main raat gaye karti rahi tujhay yaad
teri tarhan meri zulfoon ko chehrti rahi hawayien
dil ko hai yaqeen, woh laut kay ayega Mehfil
soch rakhi hain iskey liye khobsurat sazayien.