Peace in Karachi

Re: Peace in Karachi

Allah hi malik o kaarssaz hai…

dil naa ummid to nahi, naakaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi to hai

ye safar bahut hai kathin magar
na udaas ho mere hamasafar

ye sitam ki raat hai dhalane ko hai
andheraa gham kaa pighalane ko hai
zaraa der is me lage agar,
na udaas ho mere humsafar

nahi rahane vaali ye mushkilen  

ke hai agale mod pe manzilen
meri baat kaa tu yaqin kar,
na udaas ho mere humsafar

kabhi dhundh legaa ye kaaravaan
vo na_i zamin nayaa aasamaan
jise dhundhati hai teri nazar,
na udaas ho mere humsafar