Woh Aaye Saath Meray Jo ! Azm-e-Wafa Rakhta ho
Dil mai Armaa to ho, Per Aankho mai Haya Rakhta ho
Karay Aetbaar Mera, Maangay Nahi Qaul-o-Qarar
Naaz Uthnay Ki Ek Apni Ada Rakhta ho
Bujhti Shamaa Ki Chamak Ko woh Samjhay Subha-e-Jamal
Karay Duniya Roshan Dil mai Woh Diyaa Rakhta Ho
Bohat Baybaak Ho, Kah jayee Raaz-e-Dil Sub Hee
Magar Qatal-e-Raaz Mujhe ! Dil mai Chupa Rakhta Ho !
Is Jaga hai meri Hasti Ki Haqeeqat Itni
Mujh mai Abaad hai sub Mai Kahee Abaad nahi
Tujh ko Chaha Teri Dahleez pay Sajda na Kiyaa
Woh mera Ishq Tha Bas woh mujhe Yaad Rakhta ho !