paya in Pheonix

I heard that some GS member claims to make really good paaye and the only criteria is that one must be present in Phoenix to have a taste.

well guess what UZ… :smiley:

got paaya?

Re: paya in Pheonix

hahaha

there is a saying in urdu "Abb aayaa OoNT pahaaR kaY neechaY" :D

Re: paya in Pheonix

AQ dont worry, the following week I am in NYC. :)
kahan dawat kar rahay ho?

aik daawat saY kaam thoRa hee challaY gaa…

zaraa hafta-e-daawat manaayeN geY :faizy:

Jackson heights aur coney island kee khaak chaan-nay kaY ilawaah bhee kayee jaghaiN haiN… fiker naat te ziker naat… aaho :smiley:

Re: paya in Pheonix

hafta-e- dawat? I am only there for 3 days. 2 evenings. and one evening I am hanging with my uni pals. so..sham-e-dawat par kam chala laen gaye.

New York kee aik shaam
X2 kaY naam

aap kidhar Ishaaiya khaana pasand farmaayeN geY?

Re: paya in Pheonix

Hooters :halo:

Astaghfirullah.

maiN aaNkhoN par paTi baandh kar jaaouN gaa… sirf aaNkhoN kee jagah par paTi maiN dau sooraakh kar looN gaa taakaY bhaee nazar tau aaye naa… hai naa bhaee?

:sadiyah:

Re: paya in Pheonix

aur pati ki toh zaroorat naheen hai na?

maaloom naheeN :lb:

koi baat naheeN, aap kee paTi saY kaam chalaa laiN geY :cool:

Re: paya in Pheonix

issi ka darr hai :D

Kahaa paTi laiN geY hum
Kahaa paTi lo geY tum

kahaaa! paTi laIN geY hum
araY haaN naa.. keh diyaa naa.. paTi lo gey tum

Kaha X2 kaa dar hai :shikari:
Kahaa X2 tau hogaa :hinna:

criterion :asa:

Tu or kiaa BaakRay ki maaH kaab taak Khair Mana’teee :cb:

AQ k Ghar pe :lb:

ShareeF or muhazib LoGh bahar Kahana nahii kahTay…

haha sham-e-dawaat so sounds like shaam-e-gareBaaN:D

Aamir Liaquat Hussain ko Kaam copy karain :smiley:

beTa.. I would rather copy Moin Akhtar because it was from one of his performances..

remember

kahaa KaaraiN banaayeN hum
kahaa kaaraiN banaao tum

kahaa japan kaa dar hai
kahaa japan tau ho ga

kahaa bowling karaayeN hum
kahaa bowling karaao tum

kahaa Imran kaa dar hai
kahaa Imran tau ho ga

kahaa OoNT pe beThaiN hum
kahaa OoNT pe beTho tum

kahaa Kohaan kaa dar hai
kahaa Kohaan tau ho ga

etc. etc.

Re: paya in Pheonix

Kaha JummaY ko marJain
kaha JummaY ko mar Jaoo

Kaha Hisaab ka Daar hai
kaha Hisaab Tu hogaa

.........

Re: paya in Pheonix

kahaa SaahiL pe jaayeN hum
kahaa SaahiL pe jaao tum

kahaa Toofaan kaa dar hai
kahaa Toofaan tau ho ga :silly:

Re: paya in Pheonix

Kaha Dating karAin hum
kaha Dating karoo Tum

kaha NuqsaN kaa daar hai
kaha NuqsaN tu hoo gaa

:D

err no, Criteria..
when UK govt, industry and academia stops using the words “only criteria” so will I. :snooty:

Criteria is a plural form as The criteria for a passing mark are listed.

To use criteria as anything but a plural is incorrect, but painfully common…

The correct singular form is *criterion… such as … *There is only one criterion for passing this test

But what can we do Bhai :smiley:

English… UK walooN k Ghar ki londii hai … Jo chah’ain SalooK karain :cb:

Ap bi karaIN :wink: