patthar meN Dhal rahaa huuN
dekho, badal rahaa huuN
saahil-nashiiN kahaaN haiN
paanii pe chal rahaa huuN
kaliyaaN chaThak rahii haiN
maiN haath mal rahaa huuN
yak-bastaa tiirgii meN
be-vajH jal rahaa huuN
shaayad hii lauT aaooN
ghar se nikal rahaa huuN
shab laRkhaRaa rahii hai
maiN kyuuN sambhal rahaa huuN