Pattay...

**Khizaan ki sard hawaaon sai yeh girtay huay pattay,
Ghoomti baad-e-saba par safar kartay huay pattay,
Kitnay chehray hain mere saamnay sai aa kar yun guzray,
Ke jaise hon kissi jhonkay pay naachtay huay pattay…

Badaltay mausamon kay saath, badaltay huay pattay,
Naveed-e-Bahaaron ke saath khiltay huay pattay,
Kitnay logon ki kahani in patton main hai chhupi,
Tapti dhoop main jo hain yeh murjhaatay huay pattay…

Darakhton sai hamain yeh sadaa detay huay pattay,
Hawa ki shokh harkaton pai yeh hanstay huay pattay,
Na jaanay baar baar kiyun yeh teri yaad dilaain,
Yeh meri neend, mera mazaq urhaatay huay pattay…

Yeh tera aur mera qissa sunaatay huay pattay,
Yeh zindagi ka nisaab sikhaatay huay pattay,
Ai dost, in patton main hai israr-e-Hayaat,
Mar mar kar dobara, yeh jeetay huay pattay…

Lajawab**

Re: Pattay…

:lajawab:

lekin

**itnaaaaaay pattay…:frowning: :frowning: :frowning: **

Re: Pattay...

**
[quote]
Kitnay chehray hain mere saamnay sai aa kar yun guzray,
Ke jaise hon kissi jhonkay pay naachtay huay pattay...

[/quote]
**

kia Pattay hain bhyee ...konsa plant use kertay hain app

well its really goood Pattay errrrrrrrrrrrr i mean poetry

bohat hay pattay ahsas hain oppppppps nahii Gehray ahsas hain

(badla poora ho gya ? )

in last

good one :Lajjo: ( app ki smilei banay kee main sir toor koshish ken lakin yeh mujh say nahi ban raha )

Re: Pattay…

Meri bakri beemar thi…Us ko main nai pattay khaatay dekha to socha kiyun na aik nazm patton par likh daaloon…

BTW, meri smilie : lajawab : hai…(without spaces…)

:lajawab:

Re: Pattay...

Nice try, keep it up:-)

Re: Pattay…

*Ai dost, in patton main hai israr-e-Hayaat,
Mar mar kar dobara, yeh jeetay huay pattay…
*

Boht khoob … :k:

Re: Pattay...

kiyaa "pattaY" kee baat kee hai bhai :)